yeh khamoshi kab tak
swami chamatkaari haspataal me,
ladki ko di gayi hai jail,
mili na usko bail, nyay ho gaya hai fail,
phir bhi tum khamosh khade.
pachaas din beet gaye,
concertina wire ki kisiko maala,
bahuto ko register se nikala,
tumhare muh pe ab bhi taala.
afsar ko beech bazaar maara,
gumnaam vaishi ek bheed ne,
ek aur saal bhar se karaawas me,
ab bhi tum khamosh khade.
do bacche ko sauuch na diya,
phir unhi ko maara gaya,
sandaas bhi jaathi se judda,
tum khamoshi ka lota liye khade.
kab tak tum iss sannatte,
ka kambal odhe rahoge,
kab tak tum sone ka,
dhong liye pade rahoge.
kya tumhari aastha tab bhi balwaan hogi,
jab bheed apno ka khoon mangegi,
kya apne hi bacchi ki cheekh,
tumhare sannate ko khatm karegi.
waise, mein yeh hargiz nahi chahata,
ki tumhare saath aisa kuch ho,
tumhari khamoshi,
itna bhi nahi khatakti.