Satyamev jayate
Har roz, har kahi, har zubaan par, har galli me, ek hi naara hai
Sabhi kehne lage hai, ki “satyamev jayate” hamara hai ||
Sabhi bari hote hai, Nyayadish bolte hai “Saboot kaha hai”,
Jo maare gaye woh shaayad, apne aap hi mar gaye hai,
Ab jor se bolo, satyamev jayate hamara hai ||
koi kehta hai, Ae “Shah’ tum chale jaao,
Apne desh prem ka naya pramanpatra laao,
Tumhara prem hamare krodh ke saamne phika hai,
Hum zor se bolege, kyuki satyamev jayate hamara hai ||
Humare shaho ko tum kuch na poocho,
Unki tarrakki ek fakiri ka natija hai,
tum apne parivaar ka batao,
kis deal me mama hai, kis deal me bhatija hai.
Hum har petrol pump pe chaaye hai, har chaurahe me faile hai,
kal tak jo aap pe savaar tha, woh ahankar ab apna abhushan hai,
char din ki chandni hi sahi, par satyamev jayate hamara hai ||
Satya kisi kone me baitha, jhumlo ke kohre me lipta,
khamosh aankho se khudi ko talashta,
uske naam pe koi bahar, sapne bech raha hai abhi,
saath saal, sattar saal ki duhahi de raha hai koi,
Himmat badakar jab satya bahaar nikla,
dekha apni hi barsi ke juloos hai, apne hi janaaze me kandha lagana hai,
bas ek hi sawaal tha uska,
bhai, mai to tumhara hu, par mera kaun sahara hai, par mera kaun sahara hai. ||