Not a drop to drink
First — the link to the inspiring article — https://ruralindiaonline.org/articles/not-a-drop-to-drink/?utm_source=TW&utm_medium=SNAP--
Second — the poem
chadte sooraj ka nahi kasoor,
mera saaya to zameen ne,
girvi rakha hai,
paani ki keemat,
har koi apne hisaab se deta hai.
ab mai akeli,
dharti ki sukhe andhere me,
umeed me hu,
thodi roshani mil jaaye,
kuch din baad diwali hai,
issi bahane diye jal jaye.
saalo se hamare galiyo me,
badalone na rakhe hai kadam,
jo thoda paani milta hai,
samajlo mera pasina hai.
pahadi ke uss taraf,
suna hai garajte baadal aaye hai,
shaayad bahut saalo ka,
dharti hisaab barabar kar rahi hai.