mai yahi hu

Maruti Naik
1 min readFeb 8, 2020

--

Kisike haath me hathoda,
Khoon se bheega mera sar,
Toota par jhooka nahi,
Mera hausla abedh, tere nakabposh sipahi hi sahi,
Mai yahi hu, ghabraya nahi

Na rukega sangharsh humara,
Raat ko har, khatam karta hai naya ujala,
Thakt tera paltega, taj tera utrega,
ghamand tera haarega, thodi der se hi sahi,
Mai yahi hu, ghabraya nahi

Aag lagake na dhoond usme andhera,
Nafrat ki lapet me desh hamara,
Din ke ujale me kabhi to ankh mila,
Ek chai pila, phikhi hi sahi,
Mai yahi hu, ghabraya nahi

--

--

Maruti Naik
Maruti Naik

Written by Maruti Naik

I write to remember. I write to remain honest. I write to leave a bread crumb trail for my daughter. I write to relax. Trying to impress my better half, I write

No responses yet