Haque maangne waalo ko jis din sooli na dikhayi jayegi…..

Maruti Naik
1 min readAug 15, 2019

--

Image by HariKrishnan Mangayil (https://www.instagram.com/mangayil_hari/)

Subah subah Manoj Kumar,
moti ugalne waali dharti se,
mahima pardes me pyaar se,
sonu apne sandeso se,
lata apne watan ke logo se,
har saal ki tarah mujhe neend se jagaya.

Colony se sabse buzurg ko,
aaj yaad kiya jaata hai,
ussi tirange ki tarah,
jo saal me do baar,
kissi almari se nikala jaata hai.

Colony ke security guard,
aaj ke din sena ke jawaan lagte hai,
unke lambi moocho se lais,
supervisor bhi,
aaj hi ke din dhikayi dete hai.

Kal hi pata chala,
ki pehlu khan ko kissi ne nahi maara,
kal hi pata chala,
ki bandi banaye gaye hamare bhai khush hai,
kal phir pata chala,
ki baago me bahaar hai.

Aaj ek shaks lal kile se bolege,
mere paas aao, mere mitron, ek kissa suno,
370 man ki baate suno,
370 vann ki baate suno,
log paanch rupye ki biscuit,
soch samaj ke khareed rahe hai,
uspar 370 second baat nahi karege.

Mein Saahir ki subah,
Faiz ki sahar,
Agha Shahid Ali ke postcard,
ke saath aaj ka din bitaunga.

aap sabhi ko swatantrata diwas mubarak.

--

--

Maruti Naik

I write to remember. I write to remain honest. I write to leave a bread crumb trail for my daughter. I write to relax. Trying to impress my better half, I write